Tuesday, November 11, 2008

Waqt-the real player

yeh waqt mujhe kanha se kanha le aaya
aaya tha kuch jutaane ke liye
lekin yaha kuch na paya
kho raha hu waqt ko mei
waqt se hi cheenkar je raha hu aansma mei
gardeeso ko cheerkar
...........................................................................
naate hai wo rooti maa ke hatho ki mujhe
yaad aata aya hai mousam naye hai log yanha ke

aaisa lagta hai jaise kar le ho sarhad paar
aa gaya hu kanha se kanha par ae mere yaar
yaad hai wo doodh jo roj piya karta tha mei
yaad aata hai wo mousam jisme jiya karta tha mei
.....................................................................................
wo din wo pal suhane phir kabhie na aayenge
wo raate wo log purane phir kabhie na aayenge
jeena to hoga hi jab janam maine le liya
agar na jee saka to mei mout ko phir paaonga
bewajah ki baaton par zindegi se jaaonga
...................................................................................

Thursday, November 6, 2008

WO RAAT

Zindegi hai bewafaa ye mujhse behter kaun jane


chhoti umar me hi dekh liye hai maine iske sab nazrane


zindegi hai gar nav tou ek din tou doobna hai isme kya sak hai


are ye to marzee hai upar wale ki ispe na tera haq hai na mera haq hai




"Wo raat thi poos ki mei ek gareeb ke ghar gaya


dekh kar ke ghar ka nazaara mera insaan mar gaya


ek rajaaiye zisme rui na thi chhed itne ki gin na paaya


gareebee kya chej hai such kahu to us din samajh mei aaya


Teen aadmee ek rajaaiee charpayee ka pata nahi


kamra kya chardeewaree thi upar koi chhata nahi


kaise raat kategi inke yeh soch ke mann mei ghabrayaa


man mei yeh sochta hua unke ghar se bahar aaya


Zaise hi ghar ke bahar panhucha dusra nazara samne aaya


.........................................................................;;;;;;;;;;;;;;;;;;


ek aadmi zo tha hust pust


muh mei siggrete pairoo mei but


tan par pehne huka tha soot


aur soot tha tan se sata hua


wo apne dhun mei data hua


kuch door chalkar apnee gadee mei betha


gadee start karke accelletar entha


chala gaya wo masti se apna jeevan zeene ko


din bhar mauj udane ko aur raat ko daaru peene ko


...............................................'''''''''''''''''''''''''


us din ehsaas hua man ko


kareeb se jaana gareeb ke jeevan


mai to na ameer hu aur na gareeb


magar karta hu salam gareebe mei jeene walo ko


zindegi samajhkar gandegi ka pyala peene walo ko